KHOLO KHOLO from TAARE ZAMEEN PAAR
Kholo Kholo Darwaze
Parde Karo Kinare
Khuntey Se Bandhi Hai Hawa
Mil Ke Chhudao Saare
Aajao Patang Leke
Apney Hi Rang Leke
Aasmaan Ka Shamiyana
Aaj Hamein Hai Sajana
Kyun Is Kadar Hairaan Tu
Mausam Ka Hai Mehmaan Tu
O, Duniya Sajee Tere Liye
Khud Ko Zara Pehchaan Tu
Tu Dhoop Hain Jham Se Bikhar
Tu Hai Nadee O Bekhabar
Beh Chal Kahin Ud Chal Kahin
Dil Khush Jahan Teri Toh Manzil Hai Wahin
O, Kyun Is Kadar Hairaan Tu
Mausam Ka Hai Mehmaan Tu
Baasi Zindagi Udaasi
Taazi Hasney Ko Raazi
Garma Garma Saari
Abhi Abhi Hai Utaari
O, Zindagi To Hain Batasha
Meethi Meethi Si Hai Aasha
Chakh Le Rakh Le
Hatheli Se Dhak Le Ise
Tujh Mein Agar Pyaas Hai
Baarish Ka Ghar Bhi Pass Hai
O, Roke Tujhe Koi Kyon Bhala
Sang Sang Tere Aakash Hai
Tu Dhoop Hain Jham Se Bikhar
Tu Hai Nadee O Bekhabar
Beh Chal Kahin Ud Chal Kahin
Dil Khush Jahan Teri Toh Manzil Hai Wahin
Khul Gaya Aasmaan Ka Rasta Dekho Khul Gaya
Mil Gaya Kho Gaya Tha Jo Sitara Mil Gaya, Mil Gaya
O, Roshan Hui Saari Zameen
Jagmag Hua Saara Jahaan
Udne Ko Tu Azad Hai
Bandhan Koi Abh Hai Kahan
Tu Dhoop Hain Jham Se Bikhar
Tu Hai Nadee O Bekhabar
Beh Chal Kahin Ud Chal Kahin
Dil Khush Jahan Teri Toh Manzil Hai Wahin
O, Kyun Is Kadar Hairaan Tu
Mausam Ka Hai Mehmaan Tu
KEHENEKO JASH E BEEHARAN
Kehne ko Jashan-e-bahara hai
Ishq yeh dekhke hairaan hai
Kehne ko Jashan-e-bahara hai
Ishq yeh dekhke hairaan hai
Phool se khusboo khafa khafa hai gulsan mein
Chupa hai koi ranj fiza ki chilman mein
Sare sehmein nazare hain
Soye soye vaqt ke dhare hain
Aur dil mein koi khoyi si baatein hain
Kehne ko Jashan-e-bahara hai
Ishq yeh dekhke hairaan hai
Phool se khusboo khafa khafa hai gulsan mein
Chupa hai koi ranj fiza ki chilman mein
Kaise kahen kya hai sitam
Sochte hai abb yeh hum
Koi kaise kahen woh hai ya nahi humare
Karte to hai saath safar
Fasle hain phir bhi magar
Jaise milte nahi kisi dariya ke do kinare
Pass hain phir bhi paas nahi
Humko yeh gum raas nahi
Seeshe ki ek diware hai jaise darmiyan
Sare sehmein nazare hain
Soye soye vaqt ke dhare hain
Aur dil mein koi khoyi si baatein hain
Kehne ko Jashan-e-bahara hai
Ishq yeh dekhke hairaan hai
Phool se khusboo khafa khafa hai gulsan mein
Chupa hai koi ranj fiza ki chilman mein
Humne ne jo tha nagma suna
Dil ne tha usko chuna
Yeh dastan humen vaqt ne kaise sunai
Humjo agar hai gumgin
Woh bhi udhar khush to nahi
Mulakato mein jaise ghul si gai tanhai
Milke bhi hum milte nahi
Khilke bhi gul khilte nahi
Aankhon mein hai baharein dil mein khilza
Sare sehmein nazare hain
Soye soye vaqt ke dhare hain
Aur dil mein koi khoyi si baatein hain
o hoo Kehne ko Jashan-e-bahara hai
Ishq yeh dekhke hairaan hai
Phool se khusboo khafa khafa hai gulsan mein
Chupa hai koi ranj fiza ki chilman mein
Woh Pehli Baar - Pyaar Mein Kabhi Kabhi
Woh Pehli Baar Jab Ham Mile
Hathon Mein Haath Jab ham chale
Hogaya yeh dil deewana, hota hai pyar kya kisne jaana
Teri aankhon mein jannat basa ke chala,
Teri zulfo ki chauv mein chalta chala
Tere naino mein chain, tere lab pe khushi
Tujhko hee main mohobbat bana ke chala
Khilti kaliyon mein dhundhu bas tere disha
Main na jaanu hai aakhir yeh kya karva
Tujhe dekhu to aaye lab pe khushi
Khuda na kare ho kabhi duriya
Woh Pehli Baar Jab Ham Mile
Hathon Mein Haath Jab ham chale
Hogaya yeh dil deewana,
hota hai pyar kya kisne jaana
Hogaya hun mai pagal ab tere liye
Tere bin dil bechara yeh kaise jeeye
Maine khoyee hai chain payee tujhme khushi
Tu banni jaane jaana meri zindagi.
Woh Pehli Baar Jab Ham Mile
Hathon Mein Haath Jab ham chale
Hogaya yeh dil deewana,
hota hai pyar kya kisne jaana
Teri aankhon mein jannat basa ke chala,
Teri zulfo ki chauv mein chalta chala
Tere naino mein chain, tere lab pe khushi
Tujhko hee main mohobbat bana ke chala.
ONE MORE FROM TAARE ZAMEEN PAR ----MERI MAA
Main Kabhi Batlata Nahin
Par Andhere Se Darta Hoon Main Maa
Yun To Main,Dikhlata Nahin
Teri Parwaah Karta Hoon Main Maa
Tujhe Sab Hain Pata, Hain Na Maa
Tujhe Sab Hain Pata,,Meri Maa
Bheed Mein Yun Na Chodo Mujhe
Ghar Laut Ke Bhi Aa Naa Paoon Maa
Bhej Na Itna Door Mujkko Tu
Yaad Bhi Tujhko Aa Naa Paoon Maa
Kya Itna Bura Hoon Main Maa
Kya Itna Bura Meri Maa
Jab Bhi Kabhi Papa Mujhe
Jo Zor Se Jhoola Jhulate Hain Maa
Meri Nazar Dhoondhe Tujhe
Sochu Yahi Tu Aa Ke Thaamegi Maa
Unse Main Yeh Kehta Nahin
Par Main Seham Jaata Hoon Maa
Chehre Pe Aana Deta Nahin
Dil Hi Dil Mein Ghabraata Hoon Maa
Tujhe Sab Hai Pata Hai Naa Maa
Tujhe Sab Hai Pata Meri Maa
Main Kabhi Batlata Nahin
Par Andhere Se Darta Hoon Main Maa
Yun To Main,Dikhlata Nahin
Teri Parwaah Karta Hoon Main Maa
Tujhe Sab Hain Pata, Hain Na Maa
Tujhe Sab Hain Pata,,Meri Maa
0 comments:
Post a Comment